...

61 views

Pehle Pyar Ke Naam Aakhiri Paigam
Mai in chand lafzo ke sahare apni aakhiri bat kehta hoon
Tumhare pyar na karne ke bad bhi mai bevajah hi tum pr apni jaan deta hoon
Inkar kr diya hai tumne mere dil ko apne mai milane se phir bhi mai tumse pyar krta hoon
Tumhare sath sath kismat ne bhi inkar kr diya hai mujhe tumse milane se, ye jante hue bhi kabhi kabhi yad kr liya krta hoon
Shayad tum nhi thi mere kaabil ,ye bat ab mai janta aur samajhta hoon

Ek waqt tha aisa jab shayad mere hone ya na hone se tumhe fark nhi padta tha lekin tumhare hone se mera vajood tha
Lekin ab nhi hai aisa kyuki mujhe pata chal chuka hai ki tumne mujhse kabhi pyar nhi kiya tha
Tum tak pahunchkr bhi tumhare dil mai na pahunch sakti meri ye adhoori si mohabbat kyuki tumne mere jazbaton ko kabhi samjha hi nhi tha

Ek tarfa pyar se shuru hui meri ye mohabbat mehez ek tarfa pyar ki kahani bankar hi khatam hui
Kuch yadein dekar,kuch dooriyan dekar aur aakhir mai tumhare thukraye Jane ke sath hi ye khatam hui
Zindagi samjha tha maine tumhe aur tum mehez meri Zindagi ka ek kissa bankar meri Zindagi se door hui

Shayad ab na aayegi kisi barish ke din mujhe tumhari yad
Shayad un rahon se guzarte hue mujhe na aayega tumhara chehra yaad
Shayad ab mujhse na hoga tumse pyar aur isse lamba intzar
Kyuki tum karti ho kisi aur se pyar

Tumhare kisi aur se pyar karne ko mai tumhari bewafai nhi samajhta
Lekin bas itna kahunga ki kisi acche dil wale insan ko nazarandaz na karke uske dil ki bat ko samajhna

Sikhna hoga mujhe tumhare aur tumhari yaadon ke bina jeena
Sikhna hoga mujhe ab tumhare liye aaye jazbaton ke bina jeena
Tumse nafrat to kabhi nahi thi lekin ab pyar bhi nahi hai bas itna kehna chahta hoon
Bas isi ke sath tumhari salamati ki dua karte hue tumse vaasta khatam karta hoon
Bas in chand lafzo ke sahare mai mai tumse aakhiri bat krta hoon