...

16 views

zindagi ek baaree fir..
Aur kya chaiye zindagi tuje ab?
Cheen toh liya tune mera sab,
Ab na hi mere pass kaam hai,
Na hi isbari tyoharo ka naam hai,
Eid ki roshni se jugmagate tare dekhna hai,
Bappa ko fir ek baari humare ghar aate dekhna hai,
Hume fir sabko ek sath dekhna hai,
Zindagi kya chaiye tuje ab?
Cheen toh liya tune mera sab,
Subah utkar kaam karna hai,
Abhi shuruwat hai humari,
Abhi toh hume apna naam karna hai,
Sabko khushi mile aisa kuch kar,
Zindagi iss baari hum sabko maaf kar,
Bhale na kubul kar dua meri,
Par dekh ansu un parivaro ke,
Joh tadap rahe hai apno ke liye,
Ae zindagi charo or bas gam hi gam hai,
Apno ke intezar me hazaro ankhe nam hai,
Kisi ke ghar me khushi ka shor hai, Toh koi do waqt ki roti ke liye kamzor hai,
Mana Galtiya hai humari bhugtenge sab,
Majbur hai hum,
Aee zindagi maf kar de ab.