...

357 views

maa
Kadakti dhup ki kirano se m humesha bchtti rahi,teri achal ki chaya m yuh sikud ke chalti rahi,
pata nhi chlane diya tune muje ke chup rhkr tu uss aag ki tapish m jalti rahii.....

Subh sabse phle uth k sabki psnd na psnd ki tuje chinta rahi,kiski chai toh kiska bread-jam tu roz bnatti rahi,
pata nhi chalne diya tune muje ke hum sare logon ke bare m sochte tune khudki psnd ko martii rahi,kyuki tune sabki pasandon me khud ke pasand ko humesha rkhtii rahii........

Rat m lorii sunna kr thapkiyon se mere sapno ki duniya tu sajatii rahi,
pata nhi chalne diya tune muje ke un rato m tu jagi rahi ,aur saree dhukhoo ko samette hue palt palt kr tu rotti rahii.......

Pure din bhar apna time sabke liye tu kurban krtti rahi,kabhi kiski ulji hue silai thik krtti toh kbhi ghr ki jammi hue dhul safh krtti rahi,
pta nhi chalne diya naaaa tune muje ki in saree lambhee me tu khi khudko khotti rahi,aur tere sapne tere khwaishein sab tu hum log m he bunne lgiiii!!!!!!!!!!!!!!!! -Rashmi Deogade 🖤