...

7 views

par wo samajh nahi payein
Samajhna tha bahut kuch,
Par bahut kuch wo,
samajh nahi payein!


Wo mulakatein,
Wo muskurahaten,
Wo sharmahatein,
Shadi ke pehle ki baatein!
Kehna tha bahut kuch!
Par hum keh ni paye,
Socha khud hi samajh lenge wo,
Par wo samajh nahi payein!


Shadi toh ho gayi,
Batein ankahi reh gayi,
Bas din gujarte gaye,
Kuch achi yaadon ke sath,
Kuch khatti baaton ke sath,
Dil keh raha tha bahut kuch,
Par wo samajh nahi payein!

Sabko samhalte,
Khana pakate,
Bacche ko khilate,
Na jane kahan kho gaye the hum,
Laga dil me hai kitne gum,
Laga wo sab samajh rahe hain,
Par wo samajh nahi payein!

Kehna tha unse itna,
Pyar karte hain hum kitna,
Ki khud ko bhi bhul gaye ,
Kya the hum aur kya ban gaye,
Kuch hum karna chahte the,
Bahut kuch batana chahte the,
Par wo samajh nahi payein!


Yeh kaisi zindagi hai,
Jahan khud ke liye jagah nahi hai,
Kabhi toh bharosa kiya hota,
Toh mujhe bhi sahi samjha hota,
Ab zindagi me kuch rakha nahi hai
Bas apno ke liye chal rahi hai
Aur wo kabhi samjh nahi payein.


— Kanshi
© Kanshi