...

158 views

Sikshak ( teacher)
Sikshak voh kiran punj hai
Jinke kiran chata se hajaro,
Chamakte rahte hain
Sikshak voh bhandar hain,
Jo apne bhandar se
Dusron ko gyan dan dete hain.

Sikshak hame gyan ki sagar me
Dubakar roshni dikhate hain,
Agar sikshak nahi hai to
Duniya andheri kuaan hai,
Agar sikshak nahi hai to
Yeh jag arthin aur mua hai.

Bade bare dharm guru to kabhi
Kisi na kisi ka sikshak hi thhe,
Kahin Arjun thhe to kahin Bhim
Kahin Ram thhe to kahinParshuram,
Ram, Laxman, Eklavya,Balram
Apne ,apne guruon se dixit thhe.

Sikshak ban na aasan nahi hai
unke sir par kartabya ka bojh hai,
Paisa kamana aur ijjat pana hi
unka ekmatra lakshya nahi hai,
Unka ekmatra lakshya to
Bekar ko sakar ka rup dena hai.

Sabhi sikshak katthor nahi hain
voh to nariyal ke saman hain,
Bahar se katthor aur andar se
daya,mamta aur sneh se purn hai,
Kuch sikshak inchijon se pare hai
Voye sikshak nahi samaj ke satru hain

Guru aur shishya ke bich
Na jane koun sa rishta hai,
Is ajib se rishte ko bhala
Gair log kaise Jan sakta hain,
Yeh to sirf vohi jane jo
Is rishte ka maja chakha hai.


I pay my respect and regards to all
teachers of the world through this
poem.
A HAPPY TEACHERS DAYTo ALL.