...

5 views

Tum maan logi kya...
Kuch adhuri baatein karni hai tumse,
tum maan logi kya?
agar mai kahu ki tum ek pyaara sa ehsaas ho, mere jeevan ka sabse bada vishvaas ho aur sabme sabse khaas ho,
to bataao tum maan logi kya?
kaafi behatreen tumhaara andaaz hai, tumhaari acchaai hi sundarta ka taaj hai, gar mai kahu ki ye tareef nahi sab sach ke fasaane hain,
to tum maan logi kya?
har kisi ke dilon me maujood ho tum,
dharti par pariyon ki Khoobsurat wajood ho tum,
gar mai kahu ki aasmaan ka jo sabse sundar chaand hai, wo bhi tumhaari ek tashveer rakhna chahta hai,
harpal me ek baar tumhe nihaarna chahta hai,
agar mai kahu ki mera bhi yahi khwaab hai,
to tum maan logi kya, bolo tum maan logi kya?

© nainshi anand...