...

6 views

maa
Maa,
tumhare bare me kya -kya likhun ,
Teri har ek baat ki, nayi kahani hai ,
jo teri mamta pe likh paye ,
utni bhi kahaan syahi hai ?

ek ungli tumhari pakad ke maa,
apne pairon pe chalna sikha hai ,
dharam ,dharohar aur sanskar ki sikh,
sirf tujhi se paya hai !

maa,
Kai raatein jaag -jaag kar , mujhe, apni aanchal me Sulati,
tumhare zigra ko kuchh ho jaye toh , pal bhar chain na aati ,
meri chhoti chhoti khushiyon me bhi , tu apna sukh doondh leti ,
ek apni aulad ke khatir , tu itna dookh, kaise hai jhelti ?

maa,
Agar tum na dikho , kuchh khoya -khoya lagta hai ,
ghar pahuchte sabse pahle , ye dil tujhi ko doondhta hai ,
tumhare hi hone se maa, mere aangan me , badhti raunak hai ,
jis ghar me teri aksh na ho , uski aangan me ,sirf veerani hai !


maa ,
tune apne sare sapne , mere liye qurbaan kiya ,
Meri har ek kamyabi ke liye , na Jane kitne vrat kiya ,
tere hi charano me maa , Maine saari khushiyaan paayi hai,
jhuk gya jo teri charano me , beshumar kamyabi paayi hai !














© Sachin_🖤