...

2 views

~Jaazbaat~
Hasti, Muskurati,
Woh saadayein.
Aaj murjhayi si hai.
Woh yaadein,
Aaj murjhayi si hai.

Kal tak thi jo baatein lagti thi Amrit ki pyaali,
Aaj zeher ban gayi hai.
Kal tak jo sab lagte the ache,
Aaj bure ban gaye hai.

Kal ki muskan,
Aaj ke rone ki wajah ban gayi.
Ab kya hi kahe,
Aaj ki taqdeer, Kal ne Mita di.
Aaj bhi hum wahin khade hai,
Jahan kal the.
Aaj bhi wahi yaadein pareshan karti hai,
Jo pehle karti thi.

Kya kabhi koi kisi ko bhul paaya hai?
Kya kabhi koi ehsason ko daba paaya hai??
Kya kabhi kisi yaadon ko kisi ne mitaya hai?
Kya kabhi kisi ne kisi ko toot kar chahne ke baad unchaha kar paya hai??

Aaj phir se usne wahi muskan di,
Jo kal di thi.
Aaj phir se usne wahi baat kahi,
Jo usne kal ki thi.
Aaj phir se wahi sawal khade kiye usne,
Jiske jawab kisi ke paas nahi the.
Aaj phir se woh wahi raah par khadi thi,
Jahan kal bhi thi.

Kabhi raaste badle usne?
Kabhi rukh mode usne?
Kya kabhi usne woh raaste chode jismein usee sirf takleef mili?

Aaj ki baat hi lajawab thi,
Woh aaj phir wahi raah par thi,
Aaj phir woh wahi raah par thi,
Takleef ki raah.


In raahon ki shikayat kya Kari usne,
Suno,
bas do alfaaz kahe:
Tum aur main.
do kashti ke sawari.
do alag raahein.
Ek paani ko jaaye,
toh dusra aandhi ko.

<🌛❤️>




© Shines