...

6 views

Mai khud ye vani padhata chala!!
Kyu aisa ye bandhan banati ye duniya...
har pal ko ik manzar banati ye duniya,,
Jab chah panapti hai jeene ki thodi,,
Kyu raahon mai akela chod jaati ye duniya...

Ye dilasa bhala kabhi hasta chala,,
kabhi rote rote hi simat sa gaya,..
kaise dhundhu use jo mil sakta nahi.
bada kaatil hai wakt ye seekha sakta nahi..

Mai toh milta chala un koshishon ke bhitar..
ik aas liye ki bejaan na ho jau,,,
zakhm dhalte hai janam pighalte nhi..
Inhe hone do gehra ye marte nahi..
mai khud ko ye vani padhata chala...

Maine mauke liye maine mauke diye..
Kabhi masti mili kayi dhoke mile,,
apne aasu ko takat banata chala,,
mai khud ko ye vani padhata chala...

kabhi chote se palo ki naadaniyaan,,
kabhi kone mai baithi manmaniyaan..
jab wo choti jhalak tere chehre mai dekhi,,
mai toh khaabo mai duniya banata chala..
mai khud ko ye vani padhata chala..

Maine roye hai pal Maine roye hai pal,,
kahi kandha bana kabhi andha bana..
kabhi kuch mulakaaton mai ganda bana..
Kaise bolu unhe mai bas hu manchala..
mai khud ko ye vani padhata chala..

Na hi sathi mila na hi sarthi mila..
is jeevan ko apna sahara mila,,
Maine dil ko btaya thehar le sanam..
Yaha teri hi sang ab guzara likha..
mai khud ko ye vani padhata chala..

Wo samajhte hai kam mujhe aafat kehte hai..
apni marzi se mujhse khilafat krte hai..
Maine dor toh feki thi man bandhne ko..
Wo man ke kaanton ko unmai chubhata gya..
Mai khud ko ye vani padhata chala..


Mai kagaz hu tum kalam jo thehri,,
Mit jane ke chalte tum hui na gehri..
Us dhara mai jise maine bnaya..
Par afsos har wakt use tumne mitaya..

Ab gunaaho is karan ginti hai meri..
Khush rho dur se ye binti hai meri..
mai thehr jaunga kabhi yaadon mai baskar..
Jaha dhundoge tum,, mere akshon ka samandar...
mai khud ko ye vani padhata chala..


© abhishekmishra