...

15 views

Apna kehne wali
Kash koi ho apna kehne wali,
yahi ek aas bachi hai dil main,
logo k bikharte rishte dekh,
dar k bech ek ass bachi hai dil main,
kash koi ho apna kehne wali,

Na jism ki chah hai,
na koi or hai laalch,
bas koi ho apna kehne wali,
kash koi ho apna kehne wali,

thamna hai hath uska bhare bajar main,
chalna hai kahi dur uske sath main,
bas koi ho apna kehne wali,
kash koi to ho apna kehne wali,

mujhe bhi khona hai uski aankhon main,
mujhe bhi sona hai uske ghane baalo ki chhaon main,
bas koi ho apna kehne wali,
kash koi to ho apna kehne wali.