...

1 views

Kaashhh......
Chahat ki har ek manzar mein
maine dhoka khaya hai
Girte Bikharte apne raho mein
Anjar panjar khoya hai
Assaan nahi hai har bar
Bhulana apne sare gham ko
Chahat ke anjaam tak jake
Pher khona swabhiman ko.
Zindagi badle is silsila mein
Kya kuch nahi kar dala
Ab badal gayi hai zindagi
Par woh dard ko na badal paya.
Pher Iss tanha bhara jiban
mein ummed banke tum aye
Chahat ki armano nai
Phirse dard bhulakar ji jaye.
Kaash uss waqt teri ankho
Mein meri nazar na jati
Na hoti woh hadsa
Aur na tu na bol pati.
Par dil mein to tha bahot kuch
Nikal na muh se paya
Teri na ki jababo ko
Meri dil ne gale se lagaya.
Aur e dil bhi kitni pagal hai
Aj bhi tujhey chahti hai
Uss ladki ko hi chah raha hai
Jisne thokar mari hai.
Ab dar nahi iss baat ka
Ki dard kitna bitega
Pyar ka sawal he
Kisi se bhig mai nahi puchega.
Ji jayunga jaise jiya
Itni sare saal to
Ummed hogi neye suraj
Ugega pher kal to.
Jiban ka to kuch hi
Pal jine ka suruawat hai
Bahot lambi hain rahein
Jiban ka to ye suruawat hai.
Par kassh uss waqt teri ankho
Mein meri nazar na jati
Na hoti woh hadsa
Na tu na bol pati.
© SDC