...

3 views

kaliyug ka Mahabharat...
Na gyaan hai dharm ka, Na moh pehchaan ka
Na daur hai treta ka, jab Arjun sang Krishna rehta tha
Na saar hai Geeta ka jo marg sahi hai dikhlata hai
Kalyug ke andhere yug mein, Basa hai Kali jab Mann ke bheetar
Ha dharmyudh hai ye bhi lada jaata hai manbhumi ko ran mankar
Nahi aa raha ye samajh mein hai konsa kirdar madhav iss Jung mein
Na kunti si mata hai, na pandav jaisa bhrata hai, na Mitra hai karna sa, Hai Drona sa guru kaha
par fir bhi taiyaar hu abhimanyu sa chakrvyuha mein fasne
Agar mama Krishna ne hai sahi marg dikhlane...
© @kingzaps