...

4 views

Untitled. .
Galat kehte hai log
ki
kisi ke chale jane se zindagii nhi rukati
balki
kisi ke chale jane se zindagii thambh si jati hai
Reh jati hai to bass yaadein par vo bhi waqt ke saath saath dhundhli hone
lagti hai
uss saqsh se juda har vo chhota aur bada
pal apne aap gayab hone lagte hai
uss saqsh se judi har vo chhoti aur badi
cheej dum ghutane lagti hai
Darwaje pe koi bhi aahat ho to lagata
hai vo saqsh hai
vo pahle vali aakho ki chamak
intezaar me badal jati hai
vo pahle vali hasi, sukoon vali shanti
bechaini vale sarnato me badal jati hai
Aur
phir aakhri me reh jata hai to bass Kash
kash ye kar liya hota
kash vo kar liya hota
kash aise kar liya hota
kash vaise kar liya hota
to sab theek ho jata
ye kash dheere dheere afsos me badlne
lagata hai
aur afsos ki sabse badi baat ye hai ki
ye aapko dheere dheere ander hi ander
khaye jata hai chahe aap kitna hi kuch
kyu na kar le
aur afsos ye hai ki afsos kabhi dikhta
nhi hai
sayad isliye log kehte hai ki kisi ke chale
jaane se zindagii nhi rukti
par
kisi ek saqsh se liye zindagii thambh jarur jati hai.......



© Raindrop