...

14 views

Hamari adhuri kahani : The hate love story
1. Main kisi na kisi bahane se ghar tere aaya karta tha ,
Or chhupke chhupke tumhe nihaara karta tha .
2. Tere allava shaadi kisi se nahi karni thi ,
Yahi sochkar zindagi gujaar diya karta tha ..
3. Jab yaad kisi ki aati to ,
Sirf tujhe hi yaad kar liya karta tha ...
4. Jitni dhokebaazi ki tumne mere saath ,
Wo bas chup chaap seh liya karta tha ..
5. Toone hamare baare main kuchh nahi socha ,
Yahi sochkar jiwan dusswar karta tha .
6. Tu har baar mana kar deti ,
Lekin me baar baar pyaar ka ijhaar karta tha .
7. Ab tujhse baat nahi karunga ,
Yahi waada main tujhse harbaar karta tha .
8. Or jab bina bole na raha jaaye ,
To kisi na kisi bahane se anshu baha diya karta tha .
9. Tu kabhi na kabhi to mujhe pasand karegi ,
Bas yahi baat sochkar apni zindagi guzaar diya karta tha .....😊😞😭