...

2 views

Be khud
Ek darba maine socha ye kon hai jo mujhse milne aya.

Khud hi band ker liya darwaza maine,
Khud hi dastak di, khud hi mai nikal aya.

Ma jo ghusa kamre mai, ho gya ayine se roobaroo.
Wha bhi maine khud ko hi paya.

Char diwari kamre mai takta hu har ek cheez ko,
Dekhta hu kaha hai mera saya.

Maine dekha meri maiz par, gard ke siwa kuchh nhi.
Maine dekha mera bister, wha bhi mere siwa koi nahi.

Maine khud se hi batein kerni shuru ki,
Or apna hal ap hi sunaya.
Nazar pdi jo farsh par, to usme bhi mai hi nazar aya.

Maine dekha khidki par, wha tha koi jisne mujhe bulaya.
Khidki khol ke jhaka to faqat tanha hi paya.

Tanhayi se joojh ker, sher likha maine,
Tabhi door se jungle mai sher gurraya.

Uski khofnak awaz se mujhe vehshat hui, Fir bhi mai usey dekhne bahar nikal aya.

Ye awaz bhi mere aashar ki hi thi, Kitna bewakoof hu mai.
Ye sochkar muddato bad zara muskuraya.







© ALBAB QUDDUSI POET