...

5 views

Guzar jati hai. ...
Raat guzar jati hai , baat guzar jati hai
chalte chalte akhari saans guzar jati hai

Zinda moot na pechane murda mar ke ye janne
zindagi kitni hai khas , tab khas guzar jati hai

wo neeki kaam aati hai jo neek soch kamati hai
baki kya teri kya meri pehchan guzar jati hai

wohi janne hai sabar , jisne dekhi hai kabar
moot le kar sirf kimati jaan guzar jati hai

wo khali hath dekho yun aankhen na seeko
raqs karte huie waqt ki dhar guzar jati hai

hann yaad baki rehti hai zinduu ke liye ayar
wo kehte hain aati hain ,nahi aati ,guzar jati hai


© AbrarAhmedAyar