...

4 views

Ek harjai..
Woh harjai bhi bohot khaas hua karta tha
Mere har gum ka woh humraz hua krta tha
Kuch hui baat aesi ki baat ab ho nahi sakti
Door reh ke bhi mere pass hua karta tha
Uski baatein to woh hi jane kesi thi
Mere har dhun ka woh saaz hua karta tha
Ab jo milna na hua hai to aesa lagta hai
Dil ke har dard ki woh awaz hua karta tha
© Z@in@b~