...

2 views

Mehfil-e-byaan✍️✍️
Mujhe sehel hogyi manzilein..vo hawa ke rukh bhi badal gaye..

Tera haath haath mein agya..ki chirag raah mein jal gaye..

Vo lzaye mere sawaal par..ki utha sake na jhuka ke sir..

Udi zulf chehre pe is tarah..ki shabon ke raaz machal gaye..

Vahi baat jo naa vo kehe sake..mere sher-o-nagma mein aagyi..

Vahi labh na main jinhe chuu saka..kadhe sharab mein dhal gaye..

Vahi aastan hai vahi zabeen..vahi ashq hai vahi aasteen..

Dil-e-zaar tu bhi badal kahi..ki jahan ke taur badal gaye..

Tujhe chashme mast pta bhi hai..ki sharab garmi-e-basm hai..

Tujhe chashme mast khabar bhi hai..ki sab aabgeene pighal gaye..

Unhe kab ke raas bhi aa chuke..teri bazme naaz ke haadse..

Ab uthe ki teri nazar fire..jo gire the girke sambhal gaye..

Mere kaam aagyi akhir..yahi kavishein yahi gardishein..

Badi is kadar meri manzilein..ki kadam ke khaar nikal gaye..


© Kashish Arora