...

83 views

Haal-e-dil❤💔
Kabhi betho pass hamare
Tumhe haal-e-dil sunate h
Guzroge tum bhi kabhi inn galliyon se
Inn galliyon ka naksha-e-haal batate h
Ki chalakta tha jaam uski nazron me
Hum nazron se jaam liya karte the
Aur uske lafzon pe aye bina
Hum uski Sari batein jaan liya karte the
Khub zamti thi hum dono ki
Hum shaan-e-mehfil hua karte the
Aur nazar na lg jaye hum dono ko
Sab yahi kaha karte the
Socha na tha kabhi juda bhi honge hum
Sath mai kasme waade kiya karte the.....
Uss roz wo alwida kehne ayi thi
Bolna toh bhot kuch chahti thi pr kuch bol na payi thi
Sayad wo bhul gayi thi ki
Hum uske lafzon pe aye bina uski batein jaan liya karte the
Aur wo toh alwida keh na payi
Pr uski khatir hum usse alwida keh aye the....


© t@nnu