...

1 views

'' kho kar bhi khone se darta hai’'

Kissa us waqt ka hai jab wo
dil tod gaya tha,
Tham kar kisi aur ka haath, tanha humko chor gaya tha
Kuch na kaha usne bus yun hi
apni raah mod gaya tha,
hum puchte hi rehgaye kasoor kya
aur kiska hai?
 ............
Khushiyan rooth hi gayi thi jaise uske dur jaane se,
na jaane konsi kami rehgai thi rishta nibhane mai,
Na-mukammal hi hokar rehgai daastan
aur wo jud gaya nae thikaane se
Viraan hogaya saara shehar bus us ek ke badal jaane se.
...........
Dard, bebasi aur takleef hui kaafi
us sadme se bahar aane mai,
Dekhe the zindagi bhar k
khwaab jiske saath
hakikat mai - usse aur uski
yaadon ko mitaane mai,
Tha wo bhi masroof apna naya aashiyan banane mai
Jo kaha karta tha '’tum aadat bangai ho meri’' hairat hui dekh kar akhir is tarah kon rang badalta hai
............
Yun toh kisi aur ka hochuka hai ab wo,
magar aaj bhi berukhi mujhse
karta nahi hai,
Agar takra jaata hai kahin toh muh kabhi fairta nahi hai,
Rishta toh khatam hogaya, izzat ankhon mai ab bhi thi,
Bebasi se dekhta hai bus ab wo ladta aur jhagarta nahi hai
...........
Na shikayat hi ki,
na dur jaane ki wajah hi batai
Na humne ilzaam diya,
na usne kabhi khata hi batai
Ek tarfa nahi ki thi maine mohabbat
usne bhi thi kaafi chahatien lutai.
Khushi mai kahan tha khayal usko,
dard hota hai toh aaj bhi pass aakar sisakta hai
.............
Ab din bhar ki baatein, bewajah ki mulakatein nahi hoti
Der tak chatting, pictures aur meme’s ki sharing nahi hoti
khal ti hogi kami usko ; shayad isliye bahane se zikr karta hai,
call aaj bhi wo pehli ring pe
pick karta hai
............
Khayal usse bhi rehta hai apne nae saathi ka,
Koshish hum bhi karrahe the apna waqt guzaarne ka,
Pareeshani mai agar rahun toh wo na chahte hue bhi afsurda hota hai,
Kehta hai maine dagabaazi ki haina 'rab ne tumhare naseeb mai kisi aur ko likha hai’
...........
Bewajah bekhayaali mai aksar haath thaam liya karta tha jo,
Ab baat bhi karni ho toh waqt, halaat aur wajah talaash karta hai
..........
Tumne hi toh kiya tha faasla
rakhne ka faisla,
Fir ab kyun haq aur tawajjah
chahte ho?
Nae chahat ko khud hi chuna
tha na tumne
Fir mere hone na hone ko ab kyun ahem maante ho?
Tamaam sawaalon par bus khamoshi ikhtiyaar karta hai
Na duriyan hi rakh pata hai na paas hi thehar sakta hai
............
Dhokebaazi aur fareeb ka ilzaam kya dete usko,
Mehfil mai bewafai ki baat ho toh
mujhse pehle khud hi ro padta hai,
Aaj bhi fikar karta hai wo is andaaz mai jaise-
'' kho kar bhi khone se darta hai’'

Thank you 💙
© A.naaz