...

23 views

~MERA HAATH THAAM LO💜
~"Mera haath thaam loo...
bas yahi kafi hai.....🖤🖤
Iss buri aur be-dard duniya;
ki tarah muh naa mudhna....
Hai puraane dard tumhare;
dil mai aaj bhi zinda.....
Fikr mat karna unn saare zakhm;
ka marham mai banogi.....
🖤💜Bas ab tum khush rehna🖤💜
Kyun ki tumhare haste chehre;ki khushi barkarar rakhne ka irada hai....
Aitbaar kiya hai jo;
tum par yuhi mat todna.....
Tumhari har khamoshi ko lafz;
mai tabdeel krne ka wada hai mera....
Haan!! yeh bhi wada hai ke;
ankhein nam nhi hone dongi.....
Agr phir bhi ankhein nam hogayi;
toh tumhare girte howe.....har ashq ko apne hotaon se chum longi....
Ab meri zindagi ka safar;
tumhare saath tay karna hai.....
Aur haan; Tumse kuch nhi;
sirf khud par itemaad aur;
be-intehaan mohabbat chahti hoo...."
~^Zindagi hai bas kuch hi palaon ki; In pal ko tum mere saath guzaar lo...!!
Aaj mila hai mauka....;
💜🖤Mera haath thaam loo....
bas yahi kafi hai....!!"🖤💜

~SABIYA
© WRITER ✒️📖