...

30 views

#Zindagi ke mod...
Kya kahani hai
Yeh zindagi hai...

Chahat dikha kar
Dhoka dilati hai...
Khwaab saja kar
Aankhein rulati hai...
Poshida chupa kar
Haqeeqat batati hai...
Gham yeh bhar kar
Seena jalati hai...
Phool khilaa kar
Baaghon se bichdaati hai...
Arsh pe saja kar
Farsh pe giraati hai...
Waqt ko chala kar
Chalna sikhati hai...

Phir bhi gham nahi baaki mujhmein....
Na giley hai na shikway hai tumse....

Aye zindagi tujhe apna banaloongi...
Hass hass ke dil ko behlaungi...
Tujhe gale laga kar...
Himmat se kaam loongi...
Tujhse haath mila kar
Khushi ka pata loongi...
Tujhe chahat bana kar
Khudse mohabbat mai karloongi...


© Mushhu...