...

4 views

TUM❤️
Tum socho to mai khayal ban jau
Pucho agar to sawal ban jau
Kaho Jo tum mai wo baat ban jau
Mehsus kar lo to jazbaat ban jau

Tum dekho jisey wo Nazar ban jau
Sun lo agar to khabar ban jau
Gaano ke tumhare mai dhun ban jau
Tanhayi mein Dil ka sukoon ban jau

Har raat ke tumhare mai sawera ban jau
Anjane rasto ka basera ban jau
Dekhe Jo tumne mai wo khwaab ban jau
Tumhare har sawalo ka jawab ban jau
© ek_paheli