...

5 views

Pata Nahi Kya Dhoondh Rha Hoon
Sau dard iss dil mein bhare hai,
Jaane kitne gham aur milne hai,
Kitne aansu aur behne baaki hai,
Kitne raasto pe chalna baaki hai.

Abh toh hawayein bhi gham ka ehsas karwa jaati hai,
Dhoop bhi abh jalati nhi,
Aur barsat bhi abh bhigati nhi,
Na pedh ki chaaya hai,
Na kissi ka sahara hai,
Jaane kitne gham aur milne baaki hai.

Umeed ho toh insaan khuda se ladh jaayega,
Par bina umeed ke toh khud se ladhna bhi mushkil hai.

Pata nhi kya dhoondh rha hoon main,
Apne aap ko alag alag chizon mein ,
Alag alag logon mein,
Raasta toh abh ghum sa hai,
Par ek chandani raat abhi baaki hai.

© All Rights Reserved