...

5 views

Kya likhu....
kya likhu..

Aaj main apne baare me kya likhu,
Thoda acha ya kaafi bura likhu,
Thodi samajhdar ya laparvah likhu,
Apne jeevan me Jeet ya haar likhu,
Aaj main apne baare me kya likhu!

Darr ki kahani ya shaurya se ladne ka svabhimaan likhu ,
Aaj satya ka darr ya jhoot ka abhimaan likhu,
Ae zindagi tu hi bata aaj main apne baare me kya likhu !

Apne lakshya ko paane ka prayas,
Ya ghabra jaane ka ahsaas likhu,
Main kahani hu poori ya kissa adhura likhu,
Main kon hu main khudko kya likhu .

© shine - Riya✨