...

3 views

Kuchh baaqi hai.....
Abhi kahan muhabbat ne shikasat khai hai
abhi aur zaqm khane ki quwwat mujh mein baqi hai
Itni jaldi andaza laga liya hai meri shiddat ka
Abhi to tujh pe sab lutana baaqi hai
Badi jaldi qarar aa gaya judai pe tumhein
Abhi to bichharne ke arkaan kuchh baqi hain
Mayoos ho bohot intezar ke chand lamehin guzar kar
Abhi to mere sabr ka imtehan kuchh baaqi hai
Abhi se kyun laga diya bewafai ka ilzam mujhe
Abhi to mere hisse ki dastan sunana baaqi hai
Zindagi bhar chahne se kahan muhabbat ka haq ada na hua
Abhi to tujhpe mera mar jaana baqi hai......

© Shaesta