...

7 views

roj din"..
Roj din ki yahi kahani hai"
Aadhi nind to yun hi urr jati hai..
Jo kal tak 10baje so ke uthati ti"
aaj 5 baje subah uth jati hai..
Jo kal tak dosto ke sath mastii krti ti"
Aj wo akele me chup chap ro jati hai..
Jo kal tak apni shararato se sab ko paresan karti ti"
Wo ab samajhdari ki pathein padhati hai..
Jo kal tak aaine me khud ko ghanto niharti ti"
Aj wo bikhre balo me najar ati hai..
Roj din ki yahi kahani hai"
Aadhi nind to yu hi urr jati hai..
© anjan paheli