...

15 views

Seher..
Yeh seher pata nahi aaj kuch jaani pehchani si laaagrhi hain...
Yeh gaaliya, yeh naadiya, yeh jheele, kuch kaano main chupke se keh jaa rhi hain....
Yeh hawawein, yeh waadiyan aaj maano phirse mujhe bula rhe hain...
kitne barsho hogaye yha aaye hue,
pta nhi waqt bhi maano aaj ruk sa gya hain....
wahi diwaarein, wahi imaaratein, sab pehle jesa hi toh hain, lekin unpe bas rang naya chara dia gya hain,
Ab woh kaale dhaabein aur nhi dikhte, unhe maano woh raal , peele, neele rango main chupa dia gya hain,
Waha park ke peeche jaha khi, dourne bhagne ke kisse kahaniya the humarein,
waha ab sirf machino ke chlne ki awaz gunjti hain,
abb toh Chintu ke chai ki tapri ke jagah ,cafe aur restaurant ne le li,
Aur bacho ke chikkhe aab woh char diwaron ke andar kaid hogye,
Yaar aab maan nhi krta issh seher main aane ka,
yeh seher mano zeher ki yaad dilati hain
Ab woh baat kha inn gaaliyon main jo pehle hua krti thi...
Ab woh baat kha issh seher mai jo pehle hua krti thi.....

@mohima