...

9 views

Kya hum dost reh sakte hai?
Ishq mukammal na ho to dost rhna sahi hai kya
mana ki intezaar bewajah hai mera fir bhi ummeed karna sahi h kya
ha pata hai ki tumhe mohabbat nhi hai fir bhi tumhe chahna sahi hai kya
kaise bataun ki tum per dil hare h apna ab ye bhul jana sahi hai kya
tumhe dekhte hi mohabbat ho gyi thi ab ta-umra nibhana sahi hai kya
dosti rakhna asan nahi hai per dur hone ka dar satana sahi hai kya
chalo jane dete hai tumhe per yaadon ko rakhna sahi hai kya
tum sirf ishq nhi khwaish bhi ho meri fir yun dosti ka hath badhana sahi hai kya
ha azaad ho tum meri mohabbat se per tumhe apne dosti me kaid karna sahi hai kya ..



© brokenheart