...

11 views

Mohabbat Yun Hi Hoti Hai!
Dil ke un gehraiyon mein, jahan jazbaat hote hain,
Jahan halki hawayen yaadon ke suhaare sapne pirote hain
Har ik dhadkan mai woh kehta hai kahani apne maazi ki,
Yakeenan maan lena tab mohabbat yun hi hoti hai.

Raatun ke wo khamoshi jab sitare chamchamate hon,
Aasmanun ko apne baatun se jo raatun ko jagaate hon.
Woh dil ke khali pan ko bhar de chand lamhun mai
Yakeenan maan lena tab mohabbat yun hi hoti hai.

Wo haathun ki hifazat mein wo aankhon ki jhalakiyan si,
Thi taarun mai base sapnun ki ankahi sargoshiyan bhi
Jo ho tumko wo bechaini, wo be-tabi, sa ik ehsaas
Yakeenan maan lena tab mohabbat yun hi hoti hai.

Guzar jaaye jo un ke saath to umar'ren beet jati hain
Hawayen un ke darr se ho ke suhaane nagme gaati hain
Jo chu jaye wo ehsaas yakayak palkon mai chhupa lena
Yakeenan maan lena tab mohabbat yun hi hoti hai.

Aghaz hi mohabbat, wafa iski mukammal tareef hoti hai,
Jaise ek shaayrana misrae mai ghazal ki neev hoti hai
Jo tmko ho ehsaas ki radeefain mael khati hain
Yakeenan maan lena tab mohabbat yun hi hoti hai.
© Inaya


#WritcoQuote #writco #writcoapp #writer #Ancient #inspirational #Love&love #urdupoetry