...

5 views

Sath Rahogi kya.....!!
"Sunoo..kuch sawal hai bataogi kya ??
Aap humare sath hamesha rahogi kya ??
Hume apne dil me basa Kar rakh paogi kya??
Ek humare naam ki mehndi lagaogi kya??
Humare sath ek sundar sa aasiyana banaogi kya??
Humare liye apne aap ko sajaogi kya??
Bacho sa khayal rakhunga aapka,
Papa jaise izzat de paogi kya?
Dukh me sath rehne ka vaade toh sab karte hai...humare sukh ki bhi bhagidar banogi kya??
Jeena nahi aata Hume aapke Bina, kya jeena sikha paogi kya ??
Hum aksar yahi sochte hai..kya aap humare sath rahogi kya ??
Long drive per toh bhayut log jaate hai...humare sath chath per baith kar sitaroo ke neeche khawab dekh paogi kya??
Saath ghoomne toh sab jaate hai, aap humare sath mandir chal paogi kya?
Kabhi ho jau naraz aapse toh aap humari narazgi seh paogi kya??
Mana ki thoda bewakoof sa hun..
bachpana bhi hai hum mein...
Per jab laut Kar ghar aau toh aap huamre baaho mein aaogi kya ??
Garmiyon me ac ke samne,remote ke liye Ladogi kya??
Jab barsaat hogi toh humare sath bheegogi kya??
Hum aksar yahi sochte hai ki, aap humare sath rahogi kya??
Bhayut durr ka safar hai humara..humare sath chal paogi kya??
Mushkile bhayut aayengi iss safar me to kya humare sath milkar sab seh paogi kya??
Apna lunga jaise bhi ho aap, Lekin kya aap humare sath rahpaogi kya??
Aapki sari khawahisho ko Pura karunga, lekin humare sath aap hamesha rahpaogi kya??
Aapke sath kuch galat nahi hone dunga, per aap loyal rahpaogi kya???
Aapko humesha khush rakhunga, lekin humari khushiyo ko bhi Mukammal kar paogi kya??
Log kehte hai..
Ladkiyan sath nahi deti..humare sath mil Kar logo ko, galat sabit Kar paogi kya??
Dekhe hai kuch khawab humne aapke sang....
kya sare khawab Sach karne me humara sath de paogi kya???
Situationship aur hookup culture ye sab Hume samjh nahi aata...kya zindagi bhar humse beintehaa mohabbat Kar paogi kya??
Kya hamesha ke liye aap humare sath reh jaogi kya??"
© ARYAN007