...

42 views

kya zindgi hai ek larhki ki
kio ek larhki ki koi apni zindgi nahi hoti
kabhi wo beti to kabhi wo ek behan hai hoti
na fayla sake wo apne armamo ke pankh
na udh sakey wo khule aasmano main
har waqt wo samaj ke kayedo main jakrhi hai hoti
fir baand diya jata usey shadi ke bandhan main
ho kismat achi to milta hamsafar acha
jo uski bhawanao ki ho kadar karta
warna ghutti hi rehti wo sari umar ander hi ander main
kabhi di jaati duhaayi samaj ke kayedo ki
kabhi di jaati duhayi rasmo riwajo ki
sari umar gujaar deti wo sunte hoye dusoro ki
aur ek din yuh hi ho jati rukhsat wo
torh kar sab bandhano ko shorh kar in saanso ko
is sareer ke pinjre ko
© deep heer deep