...

1 views

โ€œ๐†๐‡๐€๐Œ ๐Š๐„ ๐๐”๐‘๐€๐๐„ ๐๐ˆ๐’๐‡๐€๐€๐โ€
Is kavita ke dwara, kavi apni soch ko vyakt kartey huye yeh kehna chahta hai ki kabhi-kabhi zindagi ke dard aur tanhai se guzarne par hum khud ko kho dete hain. Yeh kavita un jazbaaton ka darshan hai, jab hum apne sapno aur khushiyon se door ho jaate hain, aur bas apni khamoshi aur udaasi ke saath reh jaate hain. Har ek pal mein apne khud ke saath baatein karte hue, hum yeh samajhte hain ki asli khushi aur apna sach aakhir kya hai.

Lehja badal gaya hai mera,
Ab har alfaaz mein dard hi hai basa.
Zubaan jo kabhi hansti thi,
Ab sirf tanhaiyon ka paigaam suna rahi hai sada.

Chidchida sa lagta hai sab kuch,
Zindagi ab bas ek thakaan si hai.
Dil kabhi masroof tha apne sapnon mein,
Ab har dhadkan mein ek kasak si hai.

Pehle ke din kuch aur the,
Roshni thi, chehre...