...

2 views

Hichki
Hichki ate hi lge koi kar rha hoga yad
phir yad karne wale k namo se karte apna waqt barbad,
Tab bhi jab na ruke ye hichki ki tras
pani ki ghunt se bujhate apni pyass
pyas to bujh hi jaati hai
par hickhi phir bhi aati hai

Sare kar lie gharelu upchaar
par hichki na maani apni haar
ye hichki hai jaldi khane ki dasha
khana jo grasnali me jaa fasha

swad me kho k gawate apna hosh
phir hichki pe lgate apna sara dosh
jada der ka hichki kare nuksan
par isse bachna hai bhut asaan
dhire kha k rhe hichki se dur
nahi to hichki le aaegi wahi apni sur...



- Sneha Bhadra




© Sneha Bhadra