...

16 views

Vidhvaa - Ek Kafan Me Lipti Zindagi
Vo zinda he magar phir bhi kafan me lipti rehti he
Vo Kai logo se gheeri huvi he phir bhi bekasi me tanha rehti he
Vo maasoom he phir bhi samaaj ke tehzeeb me tadapti rehti he
Vo ikhlaaz ki ek sabse badi murat he phir bhi dastoor se bandhi rehti he
Arre reham Karo us par
Usne to aapna aashna khoya he
Yu na bana use mukhtalif auro se
Uski to hasrat ne bhi sabse zyaada ashq bahaye he
Yu apne tassavur se use tabah na Karo
Vo bhi khuda ka ek noor he
Kisi ke liye to vo bhi ek tabassum he
Uski chaahato se tum sab use Yu alhada na Kar
Uski to rooh bhi khuda se fanna Tak qurbat he
Uski har iltezaa ko suno uske jazbaato ko bhi samjho
Use bhi ulfat se apna banao
Vo naayaab he , khuda ka farmaan he
Use bhi apni Zindagi zinda hokar jeene do.
© Shilpa Marakkath
#writcopoem #writco #writcoapp #Justice_For_widows #change #writersofinstagram