Ek Nazar aakhri ( its a comic poem by the way )
Aaj wo mili sabzi mandi me,
apne do baccho ke saath.
waadey kiye the jisne kai,
na chohregi kabhi mera haath.
Ek Haath se dhare rakh kar baccho ko,
Duje se, Sabzi wale se akad rahi thi..
Ro pada main ye dekhkar Jab mehsoos hua.
Wo aaj bhi kisi se, bilkul meri tarah lad rahi thi.
Phir aaya piche se uska pati, mota sa,
kaya pr sar aisa jaise, Kisi ped pr Phal koi chota sa.
Aur Kehti thi muze, Jao Apni shakal sudhaar kar aao.
mann me aaya khayal ye dekhakr, agar ho mumkin to apne shrimaan se ye baat keh ke dikhao.
Tabhi padi awaz humko, Waisa hi kuch haal humara tha.
Lad zhagad kar, Sabzi waley se, Hamari shrimati me hume pukaara tha.
Nikalate nikalte nazar mili jab ussey, To dono kuch pichli yaadon me ghus pade.
Aur hosh sambhalkar ek dusre ke haal par, na jaane kyu has padey...
Bhushan _ Asaf
© Bhushan _ Asaf