...

13 views

Pyaari Maa
Mai kaha Se shuru karoo.
Ye samajh nahi Aata.

Maa tum ek yoddha ho.
Mai ye kyu nahi keh pata.

Tumne apni zindagi ko.
Hamare khatir qurban ker diya.

Tumne hamari har preshani ko.
Apne nam ker diya.

Diya saya tumne hame jab hame.
Bolna bhi nahi Aata tha.

Duniya dikhayi tumne.
Jab hame chalna nahi Ata tha.

Mai bhadta gaya, tum ghat ti gyi.
Mai darta gaya, tum ladti gyi.

Ha tum wahi yoddha ho.
Jisne Jang-e- zindagi mai har nahi Mani.

Tum wahi yoddha ho.
Jisne bohot kareeb Se dekhi hai preshani.

Badle mai humne tumhe ruswayi Ke siwa kuchh nahi diya.

Dosto mai zindagi guzar di.
Or tumhari taraf gour nahi kiya.

Hai hum sharminda.
Kya hame maafi mil jaygi.

Maaf to tum hame yaqeenan ker dogi.
Par wo bat kaha ayegi.

Jis trah tum khud yoddha ho.
Aisa yoddha mujhe bhi banao.

Ab hame samajh agyi hai.
Tum kahafa hoker na jao.

Ma puri duniya hamare sath hone par.
Bhi hum tumhare bagair tanha mehsoos kerte hai.

Agye hum sahi raste par lotkar.
Ao ab sath milker chalte hai.

Khoya hua hai zamana.
Or khoye hue hai log.

Ma sachchi thi tum.
Jhoote hai log.

Jis ma ne apni olad ke liye zindagi
guzar di.
Usi ko chhod ker naye rishte bana rahe hai log.

Or wapas apno ke pas ajao.
Sabhi mashwara dijiye
Waqt nikal ne par pachhtawa hota hai isliye iski qadar kijiye

Or mai soch raha hu ye dard
Sirf mujhe hi ho raha hai.

Ya koi or bhi hai Jo meri trah
Alfaazo me ro raha hai.

Mai or likhta par mujhme
Or himmat nahi
Maa to sirf ek lafz hai.
Sach to ye hai humse ye lafz bhi byaa hoga nahi.
© ALBAB QUDDUSI POET