...

21 views

Khoyi huii Raat
Khoyi si Raat ,
Raat Sun le ,
Fhir se khud me mujh ko chun le ,
Ab iss din me nahi jeet meri ,
Apni wo Aanchal firse bunle ,
Maana Tujhme Sab Naya hai ,
Thikaana tera badla saa hai ,
Fhir bhiii waisa hi hai Paani ,
Tapakti Chhat aur wahi kahaani ##
Rehte Hain mujhko har ghadi Ghere ,
Dost - priyajan Sab log mere ,
Abhii bhiii har saans ka ek sira hai ,
Khusiyon me Dil jhoomta hai ,
Raat Tujhme Baat wahi hai ,
Chhat me ab bhii khaat wahi hai ,
Nazron se ab bhiii milti Hain nazarein ,
Chupaane layak koi Baat Nahi hai ,
Nayi sej hain , Chadar wahi puraane ,
Neendein wahi , Sapne wahi suhaane ##

Din huaaa wahi aur fhir main jaaga ,
Dekha har oor par naa Kisi ko paaya ,
Fhir Sabko Dhoondhne main bhaaga ,
Naaa mili wo Raat naa waisi chhaya ##
Din se poocha Sab Kahan hain ,
Din ne Kaha Din me Sab bhaagte Hain ,
Saara din duniya ye naapte Hain ,
Naa hi thakte naa haafte Hain ,
Jaa Tu bhiii bhaag aur naap Duniya ,
Din me naa Koi Raja naa Dulhaniya ##
Main bhiii bhaaga aur dekhta hun ,
Sab bhatake main bhiii bhataka sa Hun ,
Ye sab bhiii Bina pankh udne chale the ,
Kuch the Bure Kuch Bahutt bhale the ,
Naa Duniya thodi bhii Jaante the ,
Fhir bhii har oor bhaagte the ##

Main Ruka aur maine ye jaana ,
Bina pankh naa udd sakega Tu diwaana ,
Pankhon ki khoj me main fhir dauda ,
Shaam tak Bahutt maatha Foda ##
Thakkar jab main neeche baithaa Dekha mere Saath baithaa hai zamaana ,
Unme thaa ek dost Jo haskar Bola , "Bhai Raat ho gayi ab Ghar Nahi Jaana 😊😊" !!!!
--- Utkarsh