...

26 views

Maa
Maa hee toh hai jo duniya mei laati hai,
Maa hee hai jo chalna sikhati hai,
Maa hee sapne sunehre sajaati hai,
Maa hee jeene ka matlab batati hai,
Galti karne pe aankh dikhaati hai,
Galti sudharne pe muskuraati hai,
Kya hai iss dunia mei jo maa nahi de paati hai,
Farmaishein,khwaaishein sab poori kar jaati hai,
Maa mei saare kirdaar, dost bhi samaati hai,
Maa hee sirana hai,goud mei sulaati hai,
Maa hee toh dukh mei bhi hasi le aati hai,
Apne saare dukh Maa hass ke seh jaati hai,
Na ho sakke toh akele hee aasun bahaati hai,
Bacha kucha khana apni plate mei lagaati hai,
Mujhe kehti hai ki theek se kyun nahi khaati hai,
Tanaav ke samay mei maa sar sehlaati hai,
Khud ek chanchal bacche ki bhaanti hai,
Waise toh humaari khushi mei khushi paati hai,
Zidd pe adh jaye toh sab manwaati hai,
Papa ki daant se humme bachaati hai
Roke toke papa toh paas mere cchup jaati hai,
Papa se cchup ke tambola khelne aati hai,
Bholi si pyaari si phone se mann behlaati hai
Phone se bhi humaare liye nuskhe nikaalti hai,
WhatsApp messages se mera gussa pighaalti hai,
Ladhte hee,"sorry baby"ka message bhej daalti hai,
Maa nahi jaanti unki beti kitna chupaati hai,
Maa ko unki gudiya sabse zada chaahti hai,
Dunia ki har buri nazar se maa hee bachaati hai,
Maa na ho toh dunia nochne ko aati hai,
Maa bina jeevan kya rooh kaanp jaati hai.
© Kirti Wadhwa