...

1 views

โ€œ๐€๐Š๐’ ๐Š๐€ ๐“๐€๐๐‡๐€ ๐’๐€๐€๐˜๐€โ€
๐ˆ๐ฌ ๐ค๐š๐ฏ๐ข๐ญ๐š ๐ค๐ž ๐๐ฐ๐š๐ซ๐š, ๐ค๐š๐ฏ๐ข ๐š๐ฉ๐ง๐ข ๐ฌ๐จ๐œ๐ก ๐ค๐จ ๐ฏ๐ฒ๐š๐ค๐ญ ๐ค๐š๐ซ๐ญ๐ž๐ฒ ๐ก๐ฎ๐ฒ๐ž ๐ฒ๐ž๐ก ๐ค๐ž๐ก๐ง๐š ๐œ๐ก๐š๐ก๐ญ๐š ๐ก๐š๐ข ๐ค๐ข, ๐ค๐š๐›๐ก๐ข-๐ค๐š๐›๐ก๐ข ๐ก๐ฎ๐ฆ ๐š๐ฉ๐ง๐ข ๐ณ๐ข๐ง๐๐š๐ ๐ข ๐ฆ๐ž๐ข๐ง ๐š๐ข๐ฌ๐ž ๐š๐ค๐ฌ ๐ก๐จ ๐ฃ๐š๐š๐ญ๐ž ๐ก๐š๐ข๐ง ๐ฃ๐จ ๐๐š๐ซ๐ ๐š๐ฎ๐ซ ๐ญ๐š๐ง๐ก๐š๐ข ๐ฌ๐ž ๐ ๐ก๐ข๐ซ๐ž ๐ก๐จ๐ญ๐ž ๐ก๐š๐ข๐ง, ๐ฃ๐ข๐ง๐ค๐ž ๐ฌ๐š๐ฉ๐ง๐ž ๐š๐ฎ๐ซ ๐ค๐ก๐ฎ๐ฌ๐ก๐ข๐ฒ๐š๐ง ๐ก๐š๐ฆ๐ž๐ฌ๐ก๐š ๐๐ก๐ฎ๐ง๐๐ก๐ฅ๐ข ๐ซ๐š๐ก ๐ฃ๐š๐š๐ญ๐ข ๐ก๐š๐ข๐ง. ๐‡๐š๐ซ ๐ž๐ค ๐ฉ๐š๐ฅ ๐ฃ๐จ ๐ ๐ฎ๐ณ๐š๐ซ ๐ฃ๐š๐š๐ญ๐š ๐ก๐š๐ข, ๐ฐ๐จ๐ก ๐ก๐ฎ๐ฆ๐š๐ซ๐ž ๐›๐ž๐ค๐š๐š๐ซ ๐š๐ฎ๐ซ ๐š๐๐ก๐ฎ๐ซ๐ข ๐ฒ๐š๐š๐๐จ๐ง ๐ค๐š ๐ก๐ข ๐ž๐ค ๐ค๐ข๐ฌ๐ฌ๐š ๐›๐š๐ง ๐ฃ๐š๐š๐ญ๐š ๐ก๐š๐ข, ๐ฃ๐ข๐ฌ๐ฌ๐ž ๐ก๐ฎ๐ฆ ๐ค๐ก๐ฎ๐ ๐›๐ก๐ข ๐ฌ๐š๐ฆ๐š๐ฃ๐ก ๐ง๐š๐ก๐ข ๐ฉ๐š๐š๐ญ๐ž.

Har koi mera ho jaye, aise mere armaan nahi,
Main uss raat ka tukda hoon, jismein subah ki jagah nahi.
Sheeshe ke tukdon mein bikhar gayi hai rooh meri,
Jo tasveer kabhi ban na paayi, uski koi pehchan nahi.

Raaste toh milte hain, par manzil kabhi saamne nahi,
Meri zindagi ka safar hai, par isme sath koi aur nahi.
Kaash kisi ko meri awaaz sunayi deti,
Par jo mere andar hai, uski koi zubaan nahi.

Dard se mera rishta hai, raahon mein bas andhera,
Khushiyon ka toh naam hai lekin, mera unse waasta nahi gehra.
Har pal jo chubh jaata hai, woh bas yaadon ka zakham hai,
Jo asli haqdaar hai yaad ka, woh kabhi main raha nahi.

Aksar sochta hoon, kaash mere bhi sapne hote,
Jaise baaki logon, jinme rang aur apne hote.
Par mere khwaab toh hamesha dhundhle nikle,
Jinse milne ki koshish mein sirf aansoo hi nikle.

Dil ke veerano mein aksar aawaaz aati hain,
Kaash koi yaad karey, koi pyaar-se baat karein.
Lekin naseeb ka sikka kabhi palat na saka,
Main woh khushnaseeb nahi, jise koi yaad rakh saka.

Har chehra ajnabi, har nazar adhuri hain,
Dil ke sheeshe mein dard ki majburi hain.
Main woh sheesha hoon, jo toot kar bhi jud na paaya,
Meri kismat mein kabhi tasveer ka noor nahi aaya.

Mitti ke kuch rishte, haath se fisalte jaa rahe hain,
Aankhon mein raakh bankar, dard chhupaye ja rahe hain.
Jo kabhi apne the, ab unki yaadon mein bhi zinda nahi,
Main qaidi hoon har un yaadon ka, par meri yaad kisi ko nahi.

Aks ka saaya hoon, jo har jagah hai magar dikhta kahin nahi,
Meri kahani ka raaz toh hai, par uski koi haqeeqat nahi.
Main woh sapna hoon jo kabhi poora nahi ho sakta,
Har pal talash ke safar mein hoon, jo kabhi khatam nahi.

Yeh zindagi ka safar bas ek khamoshi hain,
Jismein har dard chhupa hai, par uska koi jawab nahi.
Main hoon ek parchayi jo har aaine mein dikhti hain,
Par meri tasveer ka asar, kisi ne kabhi mehsoos kiya nahi.

โ€œ๐€๐ค๐ฌ ๐ค๐š ๐ฌ๐š๐š๐ฒ๐š ๐ก๐จ๐จ๐ง, ๐ฃ๐จ ๐ค๐š๐›๐ก๐ข ๐ง๐š ๐๐ข๐ค๐ก๐ž,
๐Œ๐ž๐ซ๐ข ๐ค๐š๐ก๐š๐ง๐ข ๐ค๐š ๐ฌ๐š๐œ๐ก ๐ค๐ข๐ฌ๐ข ๐ค๐จ ๐ง๐š ๐ฆ๐ข๐ฅ๐ž.โ€

- ส™ส สœแด€ส€แด…ษชแด‹ แดŠแด€ษชษด. ยฉ
ยฉ Hardik Jain