...

15 views

Ae Khuda !!!
ae khuda,
aise kyun ho mujhse khafa?
kyun takdir,
khel rahi hai khel aisi har dafa....!!!!

jaane kab,
aegi mujhe manzil nazar?
kab tak,
yuhin bhatakta rahun darbadar.....!!!!

dard har lamhe me hai,,
par jeene ka sukoon ab bhi hai......
Haar to har pahar me hai,,
par jeetne ka junoon ab bhi hai........!!!!

jaane kab tak,,
yuhin aasuon me duba rahega mera dil?
jaane kab,,,
meri zameen ko aasman hoga haasil.....!!!!

ae khuda,.
sun un chikhon ko,
jinhe mai kabhi suna na paaya....!!!

gin un aasuon ko ,
jinhe mai kabhi bahaa na paaya....!!!

mehsus kar un jazbaaton ko,
jinhe mai kabhi jataa na paaya....!!!

dekh un zanjeeron ko,
jinhe mai kabhi chhuda na paaya....!!!

Ek zindagi ! ek safar! par itne paigam !
jaane kis or hoga mera mukaddar jahaan...!!

ab baksh bhi de iss bebas insaan ko.,
aur Kitna tadpaayega iss chhoti si Jaan ko....!!!!

dua hai, ab to sun le meri pukar,,
kab tak ansuni rahegi meri har darkar....!!!!