...

0 views

Nazariya
Mere pyaare samaj ke logo
Zara sa badlne ka deko
Bolne ko tho sab bol jathe he
Samaanatha samanatha
Par he kaha ye samanatha
Humesha tholna he kyu ladko aur ladkiyo ke kaamo ko
Kyu he ye lakeer ye kaam he sirf ladki ya ladko ka
Kisne banayi hein ye rekaaye
Kisne banayi ye sarhade
Kyu ban beta ye sardard
Ladka ho ya ladki apni kud dek lenge mere yaar
Thumhe kyu he samaajwalo unki shaadi ke baare me karna he vichaar
Apna kudka kaam Karo na yaar
Kyu pade ho bekaar ke kaamo me mere gulzaar
Kisne kaha khaana banana sirf ladkiyo ka kaam he
Aur bahar jaake kaam kar ladko ka
Kyu he ye soch
Sochti thi me ye sab nahi he is duniya me aisi deeware
Kyunki badal Rahi he duniya
Phir bhi log kyu jaathe he muje bol
Thuje kya zaroorat he
Ladko ko hothi he zaroorat kaam ki
Kab badlega nazariya is duniya ka
Kab aayega wo din
Jab ladka ladki baraabar honge
Na honge koyi bedbaav
Na saari Zimmerdaariya hongi sirf ladko pe
Barabar zimmedaariya hongi ladkiyo pe bhi
Hoga us din ka intezaar
Jab me badal paaungi apne apno aur apne aaspaas waalo ko
Mu ka bola kisiko samaj na aatha
Yek din shayad hum kar ke dikha pathe
Koyi kaam bada ya chota nahi
Na hi wo kaam Jo pitaji bahar jaakar karthe he
Na hi Jo maathaji ander rahker karthi he