...

185 views

parents
aasman Mein beshumar sitare nahi hote
agar zameen par aap do chaand utaare nahi hote
udna to door main to chal bhi nahi paati
Jo aap ke kaandho ke sahare nahi hote

jinke maa baap nahi hote kabhi jaa kar poochna unse
wo apne aansowon se damano ko bhigore nahi hote
maa baap ke pyaar ki koi Seema nahi hoti
ye wo samundra hai jis ke koi kinaare nahi hote

ek ke qadmon mein jannat aur ek jannat ka darwaza hai
tum Inke ehsaano ka karz Chuka sakte na agar
to khuda se ye aise darjo se nawazein nahi hote

kabhi mohabbat se do bol bol liya Karo inse bhi
kyun ki khushiyon mein tumhare wo baat nahi hoti
agar gamon mein saath ye tumhare nahi hote.