"EK RAAG"
Thehru, rukun, ya fir aage badhjaaon,
magar kia hua, qadam aage nahi badhte.
Kiya hai ye----
Lagta h jaise kisi aawaaz ne rok liya hai,
arey, haan!! ye to kisi ke gaane ki aawaz.
Ek dilkash aawaz, ek ras gholne wali aawaz,
jo koel ke paas bhi na ho, aisi aawaz.
Jo sehra e Arab me bhatke musafir ki,
takleefein dur karde, aisi awaaz.
Jo samandar ke khaamushi ko tod de,
Jo murjhae hue phool khila de, aisi awaz.....
Wo ek geet tha; pata nahi kaisa raag tha,
lagta tha jaise kisi loote hue musaafir ki daastaan hai,
ya kisi wiraan hue aabaadi ki kahani hai...
Hame wo zabaan samajh nahi aayi,
par socha chalo mud ke dekhein---
Dekha ek hasina h khoobsurat zulfon wali,
Neeli aankhon waali, shabnami chehre waali....
Nazrein niche hain, Kamar jhuki hui hai,
Fasal kaat rahi h,
Aur apne raag ki chashni chede hue hai….
Hame aur aage jaana tha,
kuch kaamon ko niptana bhi tha.....
Chal diye ham na chahte hue,
Bas kaano me wo raag goonjte rahe na chahte hue........
-Md Mujahid Raza
influenced by "THE SOLITARY REAPER"(WORDSWORH,WILLIAM)