...

1 views

Savera ya andhkaar
Suraj ki to roshni hoti h
phir itna andhera sa kyu h,
Shayad tumhare germojudgi me
Savera na mumkin h,
Tumhare hote hue to pta bhi ni calta
roshni se bhara h ghar
ya andhere se h dhaka hua,
Tumhare ane se hi mera savera hota h
or tumhare jate hi raat ho jati,
Najane kyu esa hota h
tumhare mojudgi me hi mera savera hota h,
Pta nhi konsa kala jadu kardiya h
par ab me dil mere liye ni tumhare liye dhadakta h,
Tum meri zindagi se ja ni sakte
mujhe is tarah sata ni sakte,
Ab ujala bhi andhakar lagta h
tumhare na hone se savera bhi ab raat hota h......

- Shreya Pathak