...

4 views

Meri Maa ❤️

Maa ek ehsaas hai.

Ek jazbaat hai .

Ek bhawna hai.

Maa woh hai

Jo roz subah jagati hai pyaar se

Aur sulati hai pyaar se.

Jab tak khaana maa ke saath

Naa khaloon toh chain naa aaye.

Haan main galat bol deta hoon

Kabhi kabhi par woh sunn kar bhi

Ansuna kar uss baat ko taal kar

Baatein karti rehti hai mujhse.

Main kahoon ya nahi magar woh

Jaan leti hai mere mann ki baat

Jazbaat jo mere andar uthte hai

Woh sab jaan leti hai usse

Mere bina kuch kahe.

Maa ka hona zindagi mein bahut

Zaroori isliye hai kyon ki maa

24 ghante ghar ka kaam karte

Hue bhi apne baccho ki zaroortein

Aur acchi seekhein samay samay

Par deti rehti hai.

Maa mere liye woh junoon hai

Woh sukoon hai

Jo kaam karne ke liye uthne

Aur kaam karke jeet par milta hai.

Mere liye maa meri duniya hi nahi

Meri jaan hai sammaan hai

Raha mein bhatakte hue ko

Roshni aur raasta dikhane wali mishaal hai.

Maa woh hai mere ke woh pure

Ghar ke liye pehle aur khud ke liye

Baad mein sochti hai sab bhool

Jaye magar woh meri aur sab ki roti

Dawaai ka dhyan rakhne se lekar

Ghar ko ek jut aur swasth khush'haal

Rakhne ka taaqat rakhti hai.

Main woh hai mere liye jo kabhi samajh

Aaye ya nahi, kabhi unke faisle acche bure

Lage ya nahi par woh hamesha yahaan

Dil ke andar rehti hai.

Main jaanta hoon ki meri maa

Hamare liye kya kya karti hai

Toh shukriya maa hamein ek accha

Samajhdaar aur kaabil insaan banane

Ke liye aur shukriya hamesha mujhe

Accha kaam karam karne ke liye

Aur buri cheez bure samay se kaise

Ladein samajhane batane ke liye.


© writer akhil bhatiya