...

16 views

RANJISH
#WritcoPoemPrompt25
She toils through the day,
Without a word or a nay,
She earns her daily bread,
Not a tear does she shed...

Ye kaisi hawa chali yaaro, kudrat bhi hamse rooth gai,
Na chahkar bhi dosto se, kyon istarah ranjishe ho gayee !

Kabhi jinhe chahat thee, hasil chiraago ko karne ki,
Na jaane aaj kyon unhe, mohabbat tariki se ho gayee !

Shamo sehar jo kat-tey thee din, kisi ke intezaar main,
Alam ye hai ki wo bhi ab, kuchh bey taaluq se ho gaye !

Jo shor kar kar ke aasmaan, sir pe utha lete thee kabhi,
Na jaane kyon awaaz unki, khamoshi main tabdil ho gayee !

Aaj jab hur taraf khauf aur matam ka manjar hai “Ravi”
Jo thee taqatwar kabhi, aaj wo bhi buzdil se ho gaye !

RAKESH JACOB “Ravi”

Photo by..... Yogesh Mohan Singh