...

34 views

Ankahi Baatein
Zindagi me khush rehne ka bas ek hi tarika hai,
Kisi aur se na sahi, magar kabhi kabar khud se bhi bataein kar liya karo,
Zarurat k waqt log toh bade hi yaad ate hai,
Magar kabhi khudko bhi yaad kar liya karo......
Logo ki bataein dil ko kabhi achi lagti hai toh,
Unhi logon ki kuch bataein rula bhi jati h,
Kabhi intezar hua karta tha ki subha hote hi unka chehra dekhe,
Aaj kaal toh raatein bit jaya karti h unke chehre to dil me liye,
Barso se sukhe pade ansuon ke kuye me baad ane lagi h haar raat,
Kabhi socha nahi tha.... Is kadar chut jayega saath,
Haan, baat toh harroz hi karte h,
Magar zamana beet gaye hamne baatein nahi ki hai.
Nahi samaj a raha muje.....
Unhe khud ki khushiyon ki wajah banakar koi galati toh nahi ki na mene,
Kyuki hasne se zyada yeh ankhe ajkal roya bohot karti hai,
Purani baatein yaad kaar ankho se muskurati bhi hai,
Unhe kese kahu yeh ki ankho se ansu nahi zindagi beh rahi h meri,
Kabhi waqt mile toh meri taraf dekh lena jo kabhi zindagi hua karti thi tumhari,
Ha manti hu, ki waqt ki kami h tumhe,
Zindagi me kuch hasil karna h tumhe ha janti hu me yeh,
Lekin kabhi meri taraf mudkar dekh bhi liya karo,
Thoda janne ki koshish to karlo ki kyu har waqt muje tumhari hi zaroorat hoti hai,
Maat bhulo me wahi hu jo apne sapno ke piche daud rahi thi kuch waqt pehle,
Toh woh aaj kyu achank bich raste ruk gai hai..........

Dhruvi Kantariya