...

2 views

Wo maa thi meri❤💫
Wo maa thi meri
jab m nanhi si thi tbhi se wo sara jahaan thi meri,
Mujhe udnaa tha iss aasman mein uske pankhon se,
pr isi baat se zindgi anjaan thi meri,
Wo maa thi meri..

Ab lagta hai sach lagta hai,
agar aaj wo hoti to,
usii k wajood se to pehchan thi meri..
Wo maa thi meri..

Jab dekhti hu sabko kehte apni maa se,
ki tum meri jaan ho,
tb sochti hu wo bhi to jaan thi meri kyunki,
Wo maa thi meri..

Aaj hoti to mujhe niharti,
apni parchai keh kar mujhe pukarti,
Mujhme khud ko dekh kar nazar utar ti meri,
Wo maa thi meri..

Sab hain mere paas,
par apni daat or pyaar se,
kuch galatiyan sudharti meri,
Wo maa thi meri..

Ab mehsoos hota h,
ki kyu apni maa k liye ek baccha rota hai,
Jab apne aanchal k tale,
wo khudko maa bulwati,
tab ek maa muskati meri,
Wo maa thi meri..

Wo samajhti or samjhati,
inn sb uljhano ko suljhati,
shayd har dard ki dawa thi meri,
Wo maa thi meri..

Ab rehti hu adhoori si,
bss wo hi to abhimaan thi meri,
par meri khushiyon ki khaatir,
chali gyi wo mujhe chhod k,
wo kehti teri har dua muqammal ho,
bss ek yhii to duaa thi meri,
Wo maa thi meri..

Meri har nishani legyi,
Apni tarha banake,mujhe sabko degyi,
lagta hai uski har nishani ko talaash thi meri,
Wo maa thi meri..

Wo chli gyi jane kha,
muh mod gyi jane kha?
Maine to socha,
whii wo saheli thi jo kuch samay tak saath thi meri,
Wo maa thi meri..

- Richa✍❤


© All Rights Reserved