...

7 views

rishwat
rishwat ke iss bazar mein
kon hai jo bacha hai
anyay ke iss raah par
kon hai jo na chala hai

jante hue na jante hue
sab ae gunah karte hai
kya dil mein kisi ka khauf nahi
kya sab ab khuda se nahi darte hai

nyay - dharm kaha hai?
kshama - daya kaha hai?
adhikar ke in gaddiyon par
sirf andhkar hi toh bara hai

log kaise mangte hai isse apni jubaan se
log kaise lete hai isse apne hathon se
puchna toh mujhe uss dene wale se hai
khoon nahi khoul tha uska in sab bathon se

rishwat bare iss samajh mein
ab kaise saansen bahre hum
brashtachar ke iss daldal se
ab kaise bahar nikle hum

aao iss par viraam (full stop) laga ye
brashtachar ke iss mudde ko kaise jhad se mita ye
iss bare mein tum kuch soncho, aur main kuch sonchu
aao sab ko nyay ki ek nayi raah dikh laye

© princess